Kanz e Aza

Umme Laila ne Kaha

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Irfan. Lyrics in Roman Urdu.

umme laila ne kaha tashna-dahan kuch to kaho

mere akbar meri jaane chaman kuch to kaho


maa teri chand si surat pe ho waari akbar

mil gayi khaak mein doulat meri saari akbar

kyun nahi sunte ho faryad hamari akbar

kya abhi tak bhi hai seene me chuban kuch to kaho

umme laila ne…


dekh to bali sakina hai pareshan mere laal

ghash ke aalam mein padi hai phupi amma mere laal

aankhen to kholo tadapti hai teri maa mere laal

dekha tanha hai shahenshahe zaman kuch to kaho

umme laila ne…


bhai sajjad hai beemar sambhalo akbar

shimr se bali sakina ko bachalo akbar

apne asghar ko to seene se lagalo akbar

kya bandhegi mere haaton mein rasan kuch to kaho

umme laila ne…


mera armaan tha sehra tera dekhun akbar

bas tere byah ke armann nikaloon akbar

pehle sughra ko madine se bulaloon akbar

phir bade shaukh se laa'ungi dulhan kuch to kaho

umme laila ne…


sunti hoo sughra ka khat aaya hai utho beta

itne jaldi tumhe bulwaya hai utho beta

kurta tere liye bhijwaya hai utho beta

dekho mar jayegi bemaar behan kuch to kaho

umme laila ne…


tere seene mein jo barchi ka ye phal toota hai

meri khismat mere khaabon ka mehal toota hai

tere baba pe to ek kohay ajal toota hai

itne khamosh hai kyun shaahe zaman kuch to kaho

umme laila ne…


ab tere khoon ki mehendi mai lagaloon sar mein

phir isi haal se faryaad karoon mehshar mein

phal tere seene me hai zakhm dile maadar mein

kyun khizan nazr hua mera chaman kuch to kaho

umme laila ne…


dekh irfan qayamat hui majlis mein bapa

shaam se aati hai zainab ke tadapne ki sada

poori tanzeem-e-hussaini hui masroofe buka

shaah ke laal ka zaqmi hai badan kuch to kaho

umme laila ne…