Kanz e Aza

Chadare Fatema

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Imon Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

rizq hai jumbishe chadar e fatema

rozi e aalameen chadar e sayyeda


ay maadar bekas maadar mazloom maadar


teri khaak e paa se na hum sar uthayein

wahin par ajal ko galay se lagayein

rahe teri chadar ka saaya saron par

shifa'at ke saaye mein hum sar chupayein

ay maadar bekas maadar...

rizq hai jumbishe...


falak par dilon ke tujhi se ujaala

jahaano ko teri dua ne sambhala

ho kaise hi toofan ho kaisi qayamat

musibat se tu ne hamesha nikaala

ay maadar bekas maadar...

rizq hai jumbishe...


ye palkein itaa'at ki daaim bichayein

hamesha isi dar pe ye sar jhukayein

ghulamo ki khwahish dua aur tamanna

gharane pe zahra ke jaane lutayein

ay maadar bekas maadar...

rizq hai jumbishe...


ghazab hai tere ghar ka wo dar jala tha

jo baab e shifa tha jo baab e ataa tha

payamabr bhi us dar pe aate thay paiham

khuda ki riza tha jo baab e khuda tha

ay maadar bekas maadar...

rizq hai jumbishe...


adoo se ladi bhi ali ko bachaya

saha taziyana tamacha bhi khaaya

wilayat ki khaatir hi mohsin gawaya

imamat ke mansab ko phir phir bhi bachaya

ay maadar bekas maadar...

rizq hai jumbishe...


ali ke galay mein jo rassi bandhi thi

musibat ye zahra ke dil pe badi thi

na tha koi yawar ghazab ki ghadi thi

ali ke wo daaman ko pakde khadi thi

ay maadar bekas maadar...

rizq hai jumbishe...


ye mukhlis pe aur shadman pe karam hai

gham e sayyeda mein jo aankhein ye nam hai

mawaddat ki raahon ke ye hum safar hai

wilayat ke raste pe ye hum qadam hai

ay maadar bekas maadar...

rizq hai jumbishe...