Kanz e Aza

Chadaron ka Naam

A noha for Darbaar e Shaam, written by Tauqeer Kamalvi. Lyrics in Roman Urdu.

chadaron ka naam sun kar ro padi binte ali

shaam ke darbar may

wa hijaba keh rahi thi sayyeda ki laadli

sham ke darbar may


kursiyon par qaatilane shaah thay baithe hue

saaya e deewar may thay sab haram lekin khade

ba-wafa ko dhoondti thi dukhtare shere jari

sham ke darbar may

chadaron ka naam sun kar…


shimr dekha to sakina sehm kar rone lagi

door hoja shimr fizza cheekh kar kehne lagi

khauf se murjha rahi hai baaghe ismat ki kali

sham ke darbar may

chadaron ka naam sun kar…


tasht may baba ke sar par jab padi uski nazar

apne zakhmo ki rahi na phir sakina ko khabar

daudti baba ki jaanib laadli beti chali

sham ke darbar may

chadaron ka naam sun kar…


kaun hai zainab pukara jis ghadi firaun e shaam

haye ghurbat kehke utha tha mera qaidi imam

ashk khoon ke ro raha tha shaah ka beta ali

sham ke darbar may

chadaron ka naam sun kar…


zaalimo ko mil rahe thay zulm karne par enaam

kehkahon par kehkahe thay jaam par chalte thay jaam

rote rote shaam logon aal e ahmed ki dhali

sham ke darbar may

chadaron ka naam sun kar…


hukm haakim ne sunaya maar do bemaar ko

is jagah hi qatl kar do khaafila salaar ko

gir padi abid ke upar haye nazon ki pali

sham ke darbar may

chadaron ka naam sun kar…


jab ali akbar ke sar ko saamne laaya gaya

hogayi behosh maa se na sambhal paaya gaya

dukhtarane fatema padne lagi nade ali

sham ke darbar may

chadaron ka naam sun kar…


zainab e kubra ne rokar jis ghadi khutba diya

haye ay tauqeer abid ka badan tha kaampta

hathkadi par maarta tha sar wali ibne wali

sham ke darbar may

chadaron ka naam sun kar…