Kanz e Aza

Darbar Bulaya Jaata

A noha for Darbaar e Shaam, written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

afsos ke zainab ko darbar bulaya jaata hai

kaisa ye sitam haye sadaat pe dhaaya jaata hai


hai bain ye zainab ka mai aaj hoo be-parda

ab koi nahi mera mai qaidi hoo wavaila

haye zainab haye haye shaam...


ye des paraya hai kya waqt ye aaya hai

chadar hai na saaya hai baazu hai rasan basta

haye zainab haye haye shaam...


ummat ye kahan laayi majma hai tamashayi

zainab pe hai tanhaai hai waqt qayamat ka

haye zainab haye haye shaam...


abbas na akbar hai na fauj na lashkar hai

ye shaam ka manzar hai bemaar hai ab tanha

haye zainab haye haye shaam...


mai ashk bahaati hoo darbar may jaati hoo

ab khutbe sunati hoo dushwaar hai har lamha

haye zainab haye haye shaam...


hai waqt e madad ya rab darbar hai aur zainab

abbas nahi hai ab aajaiye ay baba

haye zainab haye haye shaam...


kano se skaina ke jaari hai lahoo ab tak

hamsheer ki ghurbat par sajjad bahot roya

haye zainab haye haye shaam...


darbar may be-parda jab ahle haram aaye

us waqt mohib yazdan ye bain tha zainab ka

haye zainab haye haye shaam...