Kanz e Aza

Dekh Shireen

A noha for Darbaar e Shaam, written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ran mein laashe hai pade naizon pe sar aaye hai

dekh shireen tere aaqa tere ghar aaye hai


baal chehre pe hai jiske teri shehzadi hai

jiske shaano pe nishan rassi ka faryadi hai

kitne nashtar dile zainab mein utar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...


jin ka pehra kabhi abbas diya karte thay

naukri jinki malayek aake kiya karte thay

tere ghar aaj wohi khaak basar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...


kaunsa hashr ka manzar na nighaon mein phira

sar bhi naize se sar e raah kayi baar gira

dekh kis haal mein hashim ke qamar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...


haath seene pe dhare baithi hai umme laila

dard jo dil mein hai tab hogaya wo aur zyada

jab bhi qaatil ali akbar ke naar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...


tu ne daalaan mein daala hai ye kiska jhoola

teer se chidh gaya maqtal mein gala asghar ka

cheh mahine ke hai naize pe magar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...


wo sakina hai jo sehmi hui baithi hai wahan

jaa ke nazdeek zara dekh tamachon ke nashan

sar pe chadar hai na kaano ke gohar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...


umme farwa ko bhi pursa do zara qasim ka

gham na bhoolegi kabhi karbobala qasim ka

laash bhi tukdon mein taqseem jo kar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...


dekh zanjeeron mein jakda hai tera shehzada

phupiyan beparda hai uth'ta nahi sar abid ka

le ke kunbe ke ujadne ki khabar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...


sheh ne aamir tujhe ye deeda e nam baksha hai

dar pe ghazi ne bula kar ye qalam baksha hai

tab tere misron mein nayyar ye asar aaye hai

dekh shireen tere aaqa...