do hi wajah se baatil haq na chupa saka
ek hai rida e zainab asghar hai doosra
do bhaiyon ke laashe ran mein pade huwe
zainab ke laadlon ka aakhir hai jurm kya
do hi wajah se baatil...
beparda bibiyon ko na dekhe koi layeen
noke sina pe zinda quran bolne laga
do hi wajah se baatil...
kufe mein be-amaan hai muslim ke dono laal
dono ke kamsini mein aisa sitam hua
do hi wajah se baatil...
baysheer ke layeeno ne jhoole ke saath saath
afsos ke sakina ka daaman jala diya
do hi wajah se baatil...
ek dashte karbala ne bachaya hai deen ko
aur doosra wo mod hai bazaar e shaam ka
do hi wajah se baatil...
asghar ka ek tabassum samjha gaya hai ye
daste hussain par tha quran khula hua
do hi wajah se baatil...
sheh rag ne kaat daala khanjar ki dhaar ko
pyason ki tishnagi pe darya bhi ro pada
do hi wajah se baatil...
do hi sabab se deen ye baaqi raha mohib
ek karbala hai ek fidak ka hai ye waqia
do hi wajah se baatil...