dono jahan may aaj hai charcha hussain ka
har shaks padh raha hai qaseeda hussain ka
ahle haram hai pyaas ki shiddat se bekaraar
nauha kuna hai dasht may kunba hussain ka
dono jahan may...
tukdon may munqasim hua ibne ali ka laal
tashnadhan yateem bhatija hussain ka
dono jahan may...
hal min mughisuna ki sada sunke be-zaban
jhoole se gir gaya hai wo bacha hussain ka
dono jahan may...
masroof kaar zaar hai zainab ke laadle
maadar ne kar diya unhe sadqa hussain ka
dono jahan may...
aansu baha rahe hai jo gham may hussain ke
usko duayein deta hai baba hussain ka
dono jahan may...
mashke sakina bhar ke chala sher ka pisar
baazu kate to toota sahara hussain ka
dono jahan may...
mitti pe so rahi hai sakina wo ghamzada
ab na milega isko wo seena hussain ka
dono jahan may...
ghash may pada hai qaime may bemaar natawan
kaise behan bachayegi beta hussain ka
dono jahan may...
zakhmo pe zakhm khaaye najaf par kabhi nahi
zainab ne toda koi bhi waada hussain ka
dono jahan may...