Kanz e Aza

Doobi hui lahu me pyaso ki daastaa_n hai

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Doobi hui lahu me pyaaso ki daastaa'n hai

dushman hue musalmaa'n bedard aasmaa'n hai

Laila sambhaal lena akbar ki laash jaakar

shabbir hai akele mayyat badi jawaa'n hai


Farmate hai shahedee'n akbar se deejo beta

aashoor ki hai sub'ha aur aaqri azaa'n hai

qoo'n me tadap raha hai kadyal jawaan beta

ae darde dil sambhal jaa ye waqte imtehaa'n hai


sookhi zabaan asghar hoto'n pa pherte hai

ae hurmula teher jaa besheer neemjaa'n hai

taaboot jis ki maa ka aghyaar ne na dekha

karbal me uski beti paabande reesmaa'n hai