haye akbar haye akbar
ek zaeefi ye dooja mulk paraya akbar
baabe te zaalimanu na tars aaya akbar
is zaeefi mein tera laasha uthaun kaise
dekh baba pe tere waqt ye aaya akbar
ek zaeefi ye dooja...
kya kahun dil pe mere beeth gayi kya beta
qasid e sughra khat e sughra jo laaya akbar
ek zaeefi ye dooja...
tere laashe pe kahin mar hi na jaaye zainab
jis ne seene pe tujhe apne sulaaya akbar
ek zaeefi ye dooja...
dekh qaime mein teri maa ye buka karne lagi
itne armaan se tera seha banaya akbar
ek zaeefi ye dooja...
tu abhi zinda hai aur noor gaya aankhon se
haath jo taygh pe tha seene pe aaya akbar
ek zaeefi ye dooja...
kya ghareebi hai teri laash uthaane ke liye
kaam aaya na koi apna paraya akbar
ek zaeefi ye dooja...
tum bhi auron ki tarha chod gaye saath mera
sirf ghurbat ne mera saath nibhaya akbar
ek zaeefi ye dooja...
dekhta hoo mai usi seene mein barchi ki ani
kal isi seene ko seene ko lagaya akbar
ek zaeefi ye dooja...
shadman hoga sar e hashr hai mazhar ko yaqeen
jisne dunya ko tere gham mein rulaya akbar
ek zaeefi ye dooja...