Kanz e Aza

goonji hai karbala me akbar teri azaa'n

A noha for Ali Akbar (a.s), recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

goonji hai karbala me akbar teri azaa'n

shabbir ki nigah me hai ab dhuwa dhuwa

sajh dhaj ke qaima gaah se nikla ali ka laal

lene lagi balaaye akbar ki bibiyaa'n


bete ko dekh lete the nana ki yaad par

akbar chale jo ran ko to tadpe shahe zaman

zainab quda ke waaste laila ko thaam lo

maqtal me leke aata hu ab lasha e jawaa'n


kya tum chupa rahe ho meri jaan kuch kaho kyu is tarha ragadte ho aye laal edhiya

maqtal se aayi zainab e muztar lahu me tar

rudaade gham sunaati hai chehre ki surqiya

sehra na dekh paaye jawaa'n saal tum gaye


armaan qaak me mila roti hai bibiyaa'n

qalbe hussain zainabo laila bhi chidh gaya

khaakar sina ka phal gaye duniya se meri jaa'n

akbar tumhari yaad me hoti hai beqaraar


soughra ghareeb marti hai furqat me meri jaa'n