sheh ne kaha bete se utho akbar jawan
uthjao do azan allahu akbar allahu akbar
goonj uthi allahu akbar ki sada maidan mein
hashr barpa ho gaya hai ya khuda maidan mein
aakhri hai aaj hamshakle payambar ki azan
ab fizayein sun na payegi ye akbar ki azan
rehgaya hil kar dile shaahe huda maidan mein
goonj uthi allahu akbar...
saath bete ko liye shabbir qaime mein gaye
ruqsate akbar hai bole shaahe deen rote huwe
bibiyon ghar lutgaya akbar chala maidan mein
goonj uthi allahu akbar...
pakde hai daaman koi to thaame shana hai koi
ja raha hai ghar se akbar ya janaza hai koi
sabki khwahish hai na jaye mahelaqa maidan mein
goonj uthi allahu akbar...
ye hai jiska laal wo hai fatema zehra ka laal
kuch to karlo sibte payambar ki ghurbat ka khayal
kalma goyo hai shabihe mustafa maidan mein
goonj uthi allahu akbar...
shor maqtal mein uthalo chal gaya barchi ka waar
hogaya hai asl mein naiza dile laila ka paar
kab faqat ek qalb akbar ka chida maidan mein
goonj uthi allahu akbar...
kha raha hai ran mein akbar thokare boodha padar
hai andhera uski ankhon mein nahi aata nazar
kis taraf aaye bata baba tera maidan mein
goonj uthi allahu akbar...
shaah ne akbar ke seene se sina to khaynch li
jism kya larza zameene karbala hilne lagi
baap ke hathon pe beta margaya maidan mein
goonj uthi allahu akbar...
kyun shaja'at aur ahsan ho na ab nauha kuna
dekh payegi na chashme dehre akbar sa jawan
aagayi hai ye jawani ko qaza maidan mein
goonj uthi allahu akbar...