Kanz e Aza

Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Akbar Ali Akbar (as)

Shiddat e Sabr Se Mar Jaye Na Maa Akbar (as) Ki

Din Madinay Main Woh Taqdeer Ne Dikhlaya Hai

Jisne Mari Thi Kalajay Main Sinah Akbar (as) Ke

Ban Ke Mehmaan Woh Sajjad (as) Ke Ghar Aya Hai


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


Sheh Taraptay Hain Qabr Ke Andar

Maa Tarapti Hai Qabr Se Bahar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


1. Phir Wohi Kaifiyat Hai Laila Ki Haal Tha Jo Jawan Ke Lashay Per

Uske Qadmon Ki Ahatain Sun Kar Maa Ne Thama Hua Hai Apna Jigar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


2. Chehra Karbobala Ki Janib Hai Pani Hathon Main Ly Ke Roti Hai

Gir Raha Hai Nigaha Main Maa Ki Ali Akbar Ki Maut Ka Manzar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


3. Umme Laila Sambhal Zainab Ko Kal Yea Shabbir Dy Rahe Thy Sada

Ajj Abid Phuppi Se Kehte Hain Maa Ko Meri Sambhaliye Ja Kar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


4. Qabr e Zahra Se Arhi Hai Sada Isne Mara Hai Mere Baba Ko

Phir Madinay Main Ekk Qayamat Hai Phir Raha Hai Mazar e Paighambar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


5. Ali Akbar Lipat Ke Qadmon Se Keh Rahe Honge Apne Baba Se

Toot Jaye Na Zabt Ka Bandhan Hosla Maa Ko Dijiye Ja Kar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


6. Sar e Akbar Utha Ke Nezay Per Umme Laila Ko Yea Dikhata Tha

Usko Kaise Woh Bhool Sakti Hai Jis Se Khaye Thy Sham Main Pathar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


7. Yea Kareemi Se Ruk Nahi Saktay Qatilon Ko Duain Detay Hain

Is Se Pehle Ke Baksh Dain Abid Koi Mukhtar Se Kahay Ja Kar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


Tumne Ne Sajjad Mujh Ko Pechana Sun Ke Qatil Se Bolay Yea Maula

Tou Woh Ibne e Numair Hi Hai Na Jisne Tukray Kiya Humara Jigar

Kal Thy Mehmaan Hum Teray Zalim Ajj Mehmaan Tou Humara Hai

Aur Kuch Chahiya Bata Tujh Ko Abhi Kehdon Phuppi Se Main Jakar


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar


8. Dil Nahi Lagta Ajj Ghar Main Mera Aye Takallum Yea Maa Ka Noha Tha

Tham Kar Boli Mere Bazu Ko Le Chalay Fatima Ki Turbat Per


Ghar Main Aya Hai Qatil e Akbar (as) Umme Laila Ko Hogaye Hai Khabar