Kanz e Aza

Har Sadi Hai Bas

A noha written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

wo sadi bhi thi ghame hussain ki

ye sadi bhi hai ghame hussain ki


har sadi hai bas ghame hussain ki


is zameen o aasman ko hai fanaa

chand aur kehkashan ko hai fanaa

aadmi ki daastan ko hai fanaa

zindagi hai bas ghame hussain ki

har sadi hai bas...


jaagta hai kyun zameer e aadmi

ye to tu ne socha hi nahi kabhi

kyun chaman mein hai bahaar e zindagi

taazgi hai bas ghame hussain ki

har sadi hai bas...


fikr hai tujeh azal se bas yehi

na masjidon mein majlisein kare koi

khaana e khuda libaas matami

aagahi hai bas ghame hussain ki

har sadi hai bas...


kinriya to deen ko rasool ko

zindagi mili har ek usool ko

hai salaam is liye batool ko

baat ki hai bas ghame hussain ki

har sadi hai bas...


bhai bhai yun to hai sabhi magar

bat gaye hai nafraton mein jaan kar

phailta gaya bughz ka shajar

dushmani hai bas ghame hussain ki

har sadi hai bas...


ye sada hai dil ki mazhar abidi

fikr ko hayaat e javeda mili

raat din mera kaam hai yehi

shayari hai bas ghame hussain ki

har sadi hai bas...