har simt hai udaasi ujda hua samaa
kya kya na huwe zulm o sitam zer e aasman
akbar abbas qasim o shabbir na rahe
namoos e mustafa ka abid hai paasban
har simt hai udaasi...
aankhon se khoon hai jaari daadi rangeen hai
goya jhuka hua hai par azm hai jawan
har simt hai udaasi...
majdhaar may hai kashti toofan ka zor hai
teeron se phat gaya hai safeene ka baadban
har simt hai udaasi...
ujda hai do pahar may shabbir ka chaman
maqtal may reh gaya hai qaimon ka ab dhuan
har simt hai udaasi...
oonton se gir rahe hai bacche zameen par
jaane kahan rukega ghareebon ka kaarwan
har simt hai udaasi...
kitne ameer aate thay wo mutma'in nazar
jinke raha saron par tayghon ka saayeban
har simt hai udaasi...