haye mera bemaar imam
baad e qatle shaahe anaam
haye re ghurbat ki wo shaam
ghash mein pada hai tashnakaam
hojaye gham se na tamaam
haye mera bemaar…
durre hai tazeerein hai
paon mein zanjeerein hai
haath mein taqdeerein hai
chalna hai mushkil do gaam
haye mera bemaar…
zakhm lahoo barsaata hai
dil hai ke chalka aata hai
durre khaata jaata hai
lamha lamha gaam ba gaam
haye mera bemaar…
bughz o hasad se keeno se
lau dete huwe seeno se
kalma go be-deeno se
chalta hua bazaare shaam
haye mera bemaar…
maa'on behno ke chehre
baalon ke peeche hai chupe
haath bandhe hai sar hai khule
saamne hai ek majmeine aam
haye mera bemaar…
majma saara hasta hai
dil ka zehr ugalta hai
khoon ke aansu rota hai
sar ko jhukaye tashnakaam
haye mera bemaar…
kalmagoyo ka majma
aur payambar ka kunba
haif hai sar nange hai khada
aaj sar e darbare shaam
haye mera bemaar...
teer sa dil pe lagta hai
ek rasan mein basta hai
shimr e sitamgar hasta hai
le le kar ek ek ka naam
haye mera bemaar…
umme rabab ye laila hai
ye kulsoom ye kubra hai
ye masoom sakina hai
aur hai zainab iska naam
haye mera bemaar…