HAYE MERE QASIM HAYE QASIM
Karna Saki Wo Raaj Mai
Rakli Teri Wo Laaj Mai
Bewa Bani Hun Aaj Mai
Bin Tere Haye Qasim
Maqtal Ko Kya Sajaye Ho
Wada Bhi Kya Nibhaye Ho
Soughat Ye Bhijaye Ho
Kyon Tumna Aaye Qasim
Kya Haal Ye Banaye Ho
Jalwa Hame Dikhaye Ho
Pamal Hoke Aaye Ho
Khoon Me Nahaye Qasim
Haathoun Me Chudhiya Thi Jab
Paoun Me Bediya Hai Ab
Loge Qabar Meri Ye Kab
Kuch Tho Batao Qasim
Hota Hai Dil Ko Dar Hame
Milta Nahi Hai Ghar Hame
Dekhe Ye Ahle Shar Hame
Dar-Dar Phiraye Qasim
Waris Khuda Ke Dil Ke The
Malik Bhi Hum Zami Ke The
Kabe Ke Us Makki Ke The
Zalim Sathaye Qasim