Kanz e Aza

Haye Qasim

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

sehriyan waala qasim

maa ka dulaara qasim

pehchaane maa kaise

laasha tumhara qasim


ek gathri mein aa gaya qasim

maa ko itna hi mil saka qasim

haye qasim haye haye qasim


gir gaye shaah e deen ye kehte huwe

dekho abbas gir gaya qasim

haye qasim...

ek gathri mein...


ek ek tukda de raha tha sada

ye raha ammu aap ka qasim

haye qasim...

ek gathri mein...


haye maqtal mein chaar jaanib se

sheh ki tazeem ko utha qasim

haye qasim...

ek gathri mein...


tere tukdon ko chun'ne ki khaatir

khud chali aayi fatema qasim

haye qasim...

ek gathri mein...


hai sumon ke nishan chehre par

tera kya haal ho gaya qasim

haye qasim...

ek gathri mein...


itna kamsin tha ran mein girte huwe

tu ne amma ko di sada qasim

haye qasim...

ek gathri mein...


sheh ne dhoonda usay bahot ran mein

par mukammal nahi mila qasim

haye qasim...

ek gathri mein...


mir sajjad apne ammu se

pehle pamaal ho gaya qasim

haye qasim...

ek gathri mein...