Baqir ke labon par hai ye nala mere baba
Kyu hamko gaye chorh ke tanha mere baba
Ye dagh yatimi ka hai sahena bada dushwar -
Hay abide bimar ×2
Jo saiyade sajjad tha duniya chala hai
Ghamgin namaze hai to sajdo me buka hai
Hamrah musalle ke hain girya daro diwar -
Hay abide bimar ×2
Zainab ki asiri ka liye dagh jigar pe
Chalis baras khun na ruka ankhuon se jiske
Tadpata raha jisko sada sham ka bazar –
Hay abide bimar ×2
Sine me banaye huwe masum ki turbat
Jo bhool na paya kabhi hamshir ki ghurbat
Gardan me rasan zakhmi lawen khun bhare rukhsar –
Hay abide bimar ×2
Sadma ye payambar saww ke jigar se koi puche
Phir ek janaza utha sadat ke ghar se
Sar peet ke karte hain buka sare azadar –
Hay abide bimar ×2
Baba ko litane lage jab qabr ke andar
Yad aa gaya baqir as wo zindan ka manzar
Hamshir ki maiyat liye ek bekaso lachar –
Hay abide bimar ×2