Kanz e Aza

Haye Mere Bemaar

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Farhat. Lyrics in Roman Urdu.

ahle madina kehte thay ro kar

haye mere bemaar imam


kar gaye rehlat jaanib e kausar

haye mere bemaar imam


qaime jalaye chadarein cheena

aur zar o zewar loota

legaye aada aap ka bistar

haye mere bemaar...


hathkadi bedi tauq pinaaya

ahle jafa ne baad e hussain

baandhe kamar mein aap ke langar

haye mere bemaar...


rote rahe chalees baras tak

baba ko apne roz wo shaam

chain ne aaya aap ko din bhar

haye mere bemaar...


roti thi jab baali sakina

durre lagaata tha zaalim

sadme sahe sab aap ne dil par

haye mere bemaar...


kaanton pa paidal aap gaye

az karbobala taa kufa o shaam

aabile paaon ke phoote hai ye keh kar

haye mere bemaar...


fatema zehra lene ko pursa

aati hai majlis mein us jaa

pursa do farhat tum bhi ye keh kar

haye mere bemaar...