mai fatema ki dukhtar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai chadar darbar kaise jaaun
qatil ka saamna hai kitni kathin ghadi hai
darbar saj raha hai zainab abhi khadi hai
ek ek pal hai doo bhar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...
haakim kahan kahan ke kursi nasheen honge
royegi binte zehra aur khush layeen honge
peshe nazar hai mehshar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...
bhai kahan hai zinda pehra jo aake dete
hote agar bhatije halqe mein mujhko lete
abbas hai na akbar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...
narghe mein ashkiyan ke hoga mera ta'arruf
mai kuch na keh sakungi uff meri bekasi uff
maut aa na jaaye ghut kar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...
bazaar ke ghamon se hasti bikhar chuki hai
darbar kaise jaaye zainab to mar chuki hai
baalon se moo chupa kar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...
kis shehre bewafa mein laayi hai mujhko ghurbat
apne ko mai chipa loon paaun jo koi turbat
wo bhi nahi mayassar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...
mushkil bahot hai lekin abid ye gham utha lo
zanjeer e zulm thaamo tauq e sitam sambhalo
haan khaynchlo ye langar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...
mai har sitam sahungi dhaayega jo zamana
bhai se jo kiya hai waada hai wo nibhana
ab ye kahun to kyun kar darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...
aamir qareeb e baabe sa'at pe zalzala tha
nayyar yahin pe zainab ne marsiya padha tha
nauha hai har zaban par darbar kaise jaaun
sar par nahi hai...