sitam jo dhaaye musalman ne mujhpe baade nabi
tadap ke dekhe hai hasnain ne sitam wo sabhi
mai aansuon ko chupa loongi tooti phasli bhi
jhuki kamar ye zaeefi na chup sakegi kabhi
shikasta pehlu mera aa ke dhaamp de fizza
ke aise haal mein zainab na dekh le fizza
chupa ke roti hai bacchon se phasliyan zahra
ali ko dekh ke leti hai siskiyan zahra
giraya jis ghadi zaalim ne dar ko pehlu par
pukarti rahi fizza ko naagahan zahra
chupa ke roti hai...
har ek saans pe phasli ko thaam leti hai
ali bhi dekh ke kehte hai al-amaan zahra
chupa ke roti hai...
jigar ke tukde huwe jaa rahe thay bibi ke
sanad ke tukde uthaana tha imtehan zahra
chupa ke roti hai...
utha ke tukde sanad ke larazte haathon se
bataun kaise chali jaanib e makaan zahra
chupa ke roti hai...
na jaane kaun sa ummat ne zulm dhaaya hai
zaeef ho gayi ek din mein naujawan zahra
chupa ke roti hai...
na maa ke rone ki awaaz betiyan sunle
sisak ke leti rahi haye hichkiyan zahra
chupa ke roti hai...
alaida hoti nahi pal ko betiyan maa se
ke phir milegi ye aaghosh aur na maa zahra
chupa ke roti hai...
wo apni daadi ke qatil se khud nimat lega
pisar jo aap ka aayega gyarwan zahra
chupa ke roti hai...
uthega maa ka jo saaya to aasim o rizwan
bohat satayega hasnain ko jahan zahra
chupa ke roti hai...