chuth raha hai nana ka aastan meri zainab
bhai ka hua dushman ye jahan meri zainab
tang hai zameen mujh par har taraf se nargha hai
hai qareeb bhai par imtehan meri zainab
chuth raha hai…
dekhta rahoo kab tak rang ye zamane ka
dab rahi hai saazon mein ab azan meri zainab
chuth raha hai…
waada apna tifli ka ab mujhe nibhana hai
haath mein rasan hogi pasban meri zainab
chuth raha hai…
bhai ka safar tere laazmi hai ay khaahar
alqama pe tehrega karwan meri zainab
chuth raha hai…
deen e haq ki nusrat ko karbala ke jangal mein
khoon se naha'ega karwan meri zainab
chuth raha hai…
baad mere ahle keen zulm tum pe dhayenge
baazu'on mein baandhenge rassiyan meri zainab
chuth raha hai…
qaid ho ke jaogi shaam aur kufay mein
pehne hoga abid bhi bediyan meri zainab
chuth raha hai…
sheh safar ka pas manzar kehke chup hue saaghar
mai hoon haq ki marzi par shadman meri zainab
chuth raha hai…