Kanz e Aza

Dafn Kaise Hui

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

shikasta baazu shikasta pehlu

baalon mein safedi hai

haye zahra haye zahra haye zahra


dafn kaise hui zahra ye ali jaante hai

kaise turbat mein utaara ye ali jaante hai


dar ke girne se hua jiska shikasta pehlu

phasliyan zakhmi thi aur toot chuka tha baazu

kaise utha wo janaza ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...


samne us ke tha amma ne tamacha khaaya

kitne din jaane hassan kuch na kisi se bola

wo na bhoolega tamacha ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...


ghusl dete huwe zahra ko ali rote rahe

ab talak haath pe zakhmon ke nihsan baaqi thay

kis ne maara tha wo durra ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...


phasliyan toot chuki jab ye ali ne dekha

karb se cheekh ke maula ne kaha ya zahra

ghusl kis tarha diya tha ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...


saans lete huwe takleef se karrahti thi

dard itna tha ke karwat bhi na le paati thi

kab se soyi nahi zahra ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...


khud to sab seh gayi seh na saki bete pe sitam

maut se kam na tha mohsin ki judaai ka gham

kaise ek maa ko sambhala ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...


baap ka pursa jise dene na aaya koi

roti rehti thi jo turbat se lipat kar bibi

kitna yaad aate thay baba ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...


zakhm khaa kar bhi wilayat ki hifazat ki hai

jaa ke dar dar pe yun zahra ne gawahi di hai

kitna ehsaan hai uska ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...


kitni mazloom thi zakhmi thi nabi ki beti

qabr bhi maula ne zeeshan chupa di uski

hai kahan marqad e zahra ye ali jaante hai

dafn kaise hui zahra...