Kanz e Aza

Daastan Gham ki

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

daastan gham ki raqam kuch yun sakina kar gayi

rang wo tasveer e deen mein apne khoon se bhar gayi


uski rag rag mein hussain ibne ali ka khoon hai

kaun kehta hai sakina qaid mein thi darr gayi

rang wo tasveer e deen mein apne khoon se bhar gayi

daastan gham ki...


char saala ek bacchi qaid hoke shaam mein

ek alag zindan mein hai deen ki khaatir gayi

rang wo tasveer e deen mein apne khoon se bhar gayi

daastan gham ki...


kis khadar manoos bibi hogayi zindan mein

shaam hi mein reh gayi wapas na apne ghar gayi

rang wo tasveer e deen mein apne khoon se bhar gayi

daastan gham ki...


phuphi amma aao dekho shaam ke zindan mein

baba baba kehte kehte haye sakina mar gayi

rang wo tasveer e deen mein apne khoon se bhar gayi

daastan gham ki...


deen pe masooma ka aisa hogaya charcha ameer

sar kate qaime jalay aur chadare athar gayi

rang wo tasveer e deen mein apne khoon se bhar gayi

daastan gham ki...