Kanz e Aza

Daman Sakina Choro, Wo Guzar Gaya Zamana

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Bachpan Ka Wada Mainay, Sajday Mai Hay Nibhana


Sabr-o-Raza Ka Daman Theray Haath Say Na Chuthay

Maray Thamachay Zalim, Chaey Goshwaray Lootay

Hur Haal Main Sakina Nana Ka Deen Bachana


Tera Bhi Imthihaan Hai Mera Bhi Imthinhaan Hay

Mayree Karbala Hay Manzil, Zindan Thera Makan Hay

Tujh Ko Aseer Ho Ker Hay Kufa Shaam Jana


Laynay Gaey Thay Panee Phir Lout Ker Na Aaey

Teray Baad Ashqia Nay, Khayam Hain Jalaey

Afsos Bhaiya Ghazi Parda Meyra Bachana