Kanz e Aza

Dar Dhoond ke

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Zulqarnain. Lyrics in Roman Urdu.

dar dhoond ke zindan ka ye kehti hai sakina

baba mujhe seene pe sulane chale aao


is aalam e tanhaai mein mar jaaun na baba

marne se sakina ko bachane chale aao


har waqt teri yaad mein roti hai sakina

maghmoom teri aas mein hoti hai sakina

naraaz teri lakhte jigar tujhse hai baba

roothi hui beti ko manane chale aao

dar dhoond ke...


mai chain ka ek saans bhi baba nahi leti

ye pyaas ki shiddat mujhe sone nahi deti

ab neend teri beti ko na aayegi baba

ek chain ki lori hi sunane chale aao

dar dhoond ke...


asghar mera bhaiya wo meri jaan kahan hai

cheh maah jo dunya mein tha mehman kahan hai

baba mujhe bhaiya ki judaai nahi bhooli

asghar ko sakina se milane chale aao

dar dhoond ke...


ek daagh hai bhai ka kamar tod'di jis ne

ek daagh hai bete ka nazar cheenli jis ne

jo dil pe lage zakhm tumhe karbobala mein

baba wo sakina ko dikhane chale aao

dar dhoond ke...


bistar nahi sone ke liye farshe zameen hai

mai sheh ki yateema hoon mera qalb hazeen hai

zindan ka andhera hai muqaddar mera baba

tareeki e zindan ko mitane chale aao

dar dhoond ke...


mai aale mohamed ke gharane ka nagina

is waaste baba mujhe kehte thay sakina

zaalim ke tamachon ne sukoon cheena hai mera

kab aaoge baba ye batane chale aao

dar dhoond ke...


wo zulm kiye shimr ne chehre se ayaan hai

rukhsaar pe zaalim ke tamachon ke nishan hai

baba mere rone pe yahan pehre lage hai

in pehron ko ay baba hatane chale aao

dar dhoond ke...