Kanz e Aza

Dar se Deti Thi

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Anees. Lyrics in Roman Urdu.

dar se deti thi awaaz maadar

raat hone ko hai aao asghar


shaq ab hai judaai ye dil par

raat hone ko hai aao asghar


kitna pur haul hai ye biyaban

khauf o dehshat hai kitni rumeinan

darr na jaana kahin mere dilbar

raat hone ko hai...


jaag kar raat tum ne guzaari

subho se thi ajab bekharari

ab to sojao pehlu mein aa kar

raat hone ko hai...


jab na paaungi pehlu mein tum ko

neend beta na aayegi hum ko

so sakoge na tum bhi bichad kar

raat hone ko hai...


teer gardan pa teri laga hai

kya ye sach hai jo maine suna hai

maa ko dikhlao to ran se aa kar

raat hone ko hai...


jo kaha maine tum ne suna tha

aur jawab uska has kar diya tha

hogaye kyun khafa ghar se jaa kar

raat hone ko hai...


jang maidan mein ki sab ne pyare

par na dekhe thay aise nazaare

kya kiya tum ne roya jo lashkar

raat hone ko hai...


kya koi kehna un ka na maana

ho ke nazraaz shaah e madina

chod aaye tumhe ran mein sarwar

raat hone ko hai...


tum na kuch gham karo mere beta

kya hua gar jala tera jhoola

doongi lori mai godhi mein le kar

raat hone ko hai...


kya malak ne khabar ye sunaayi

sab anees e shahe karbalayi

jaaye jannat mein nauha ye padh kar

raat hone ko hai...