maa ne di sada ay mere beta
ek boond bhi pani na mila
khushk tha gala tar na hosa ka
tadap uthi maa haye mere laal
teer se chida nanha sa gala
ek boond bhi...
beta tere baad jee na sakungi
pani tere baadh pee na sakungi
ujda hai asghar mera muqaddar
tu hai bekafan mai hoo berida
ek boond bhi...
jhoola jhulaati lori sunaati
laal mai tere naaz uthaati
pal mein lut gayi meri kameini
khoon ka darya ban mein beh gaya
ek boond bhi...
teer khaa ke tu muskura diya
roti reh gayi fauj e ashkiyan
nehre alqama arz e karbala
dekhti rahi tera hosla
ek boond bhi...
roti hai tujhko haye sakina
ab kahan tujko paaye sakina
jhoola bhi khaali jholi bhi khaali
dukhiya jhulaye kis ka jhoolna
ek boond bhi...
kaise ye manzar bhool paaungi
ashk lehed mein bhi bahaungi
laal tumhari phool si gardan
kar gaya zakhmi teer e hurmala
ek boond bhi...
chal diye tum bhi maa ko chod kar
kaise karungi shaam ka safar
maang bhi ujdi kokh bhi ujdi
koi nahi hai mera aasra
ek boond bhi...
dhoop mein jawwad umr bitaayi
pal bhi na mesum saaye mein aayi
tapti zameen par tadpa tha asghar
maa ko wo manzar yaad reh gaya
ek boond bhi...