Kanz e Aza

Dard Angayz Ye

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Hyder. Lyrics in Roman Urdu.

dard angayz ye kahani hai

mehmano pe bandh pani hai


khoon de kar bhi paa nahi sakte

aab ki kis khadar girani hai

dard angayz ye kahani...


al atash kehte jaate hai bache

maa'on ke lab pe nowhaqani hai

dard angayz ye kahani...


ali asghar zabaan dikhate hai

pur asr kaisi bezabani hai

dard angayz ye kahani...


aazame jang ho chuke akbar

saath armaan bhari jawani hai

dard angayz ye kahani...


kehte hai shaah ruk bhi jaa beta

mere nana ki tu nishani hai

dard angayz ye kahani...


laashe akbar pa kehti thi madar

kya kahoon zakhme dil nihani hai

dard angayz ye kahani...


zainab aayi hai laasha e sheh par

aankh se khoon ki rawani hai

dard angayz ye kahani...


sadqe mein shaah-e-deen ke ay hyder

tujhko taayede aasmaani hai

dard angayz ye kahani...