Kanz e Aza

Kehti Thi Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Hyder. Lyrics in Roman Urdu.

kehti thi sakina aao chacha

ab jaan nikalne waali hai

allah re mujh par jo ro jafa

ab jaan nikalne waali hai


hai shumre sitamgar maahile shaar

hai zulm se uske chalni jigar

padte hai tamazhe subho masa

ab jaan nikalne waali hai


maa phupiyon ki hasrat tum se kahoo

ya apni musibat tum se kahoo

har roz hai hum par zulm naya

ab jaan nikalne waali hai


akbar bhi huye aankhon se niha

qasim ka bhi kuch paaya na nashan

baba ka bhi milta hai na pata

ab jaan nikalne waali hai


dunya ki nigaahein hum se phiri

saydaniya sab nazron se giri

kya tum bhi huwe ho hum se khafa

ab jaan nikalne waali hai


zindan ki wo girti deewarein

ranjoor dilon ki wo aahein

dehshat se jigar phat'ta hai mera

ab jaan nikalne waali hai


shaam aati hai zindan mein jis dam

ghabrata hai dil mera us dam

chillati hoo keh kar aao chacha

ab jaan nikalne waali hai


hyder bas rok apna qalam

majlis mein hui har chashm hai nam

hai josh pe darya matam ka

ab jaan nikalne waali hai