kehti thi sakina aajao baba ab aajao
lillaah na itna tadpao
kehti thi sakina…
allah ye kaisa waqt pada
koi bhi nahi meri sunta
ho jaa'ungi mai tumse khafa
dekho na mujhe yun rulwao
baba ab aajao
kehti thi sakina…
kis jurm ki hai aakhir ye saza
sunte hi nahi beti ki sada
roothe hai chacha bhaiya hai khafa
ab kisko pukarun batlao
baba ab aajao
kehti thi sakina…
na-moose nabi ka paas nahi
darr aa na chale aate hai layeen
chin jaaye na chadar sar se kahin
hai waqt e museebat jald aao
baba ab aajao
kehti thi sakina…
jalte hai qayaam uth'ta hai dhua
har simt lagi hai aag yahan
ab jaaun to mai jaaun kahan
itna to mujhe batla jaao
baba ab aajao
kehti thi sakina…
rote rote jhoole ke kareeb
darr hai ke na dede jaan kahin
amma ko bulalo paas wahin
ya shakl unhe dikhla jaao
baba ab aajao
kehti thi sakina…
kab se ro ro chillati hoo
aao ke tamache khaati hoo
acha mai wahin aa jaati hoo
sotay ho kahan par batlao
baba ab aajao
kehti thi sakina…
akbar bhi nahi asghar bhi nahi
ammu bhi nahi lashkar bhi nahi
ab to sar par chadar bhi nahi
aajao baba aajao
baba ab aajao
kehti thi sakina…