kehti thi ye zainab se mohamed ki dulari
mai kya karoon bibi
qismat may judai ki ghadi aa gayi apni
mai kya karoon bibi
taqdeer pe kuch bas nahi chalta hai kisi ka
ek roz hai marna
kya maa ki judaai ka alam jhel sakogi
mai kya karoon bibi
kehti thi ye zainab se...
jab jayega shabbir mera karbobala ko
maidan e wagha ko
jayegi meri jaan sawari bhi tumhari
mai kya karoon bibi
kehti thi ye zainab se...
qaime mere abbas ke saahil se hatenge
pyase hi rahenge
atfal ki durron se wahan pyas bujhegi
mai kya karoon bibi
kehti thi ye zainab se...
tum aun o mohamed ko raza marne ki dogi
khamosh rahogi
jab saamne aayegi mohamed ki jawani
mai kya karoon bibi
kehti thi ye zainab se...
mil jayegi matti may payambar ki nishani
par ay mere jaani
seene may hi ghut jayega dum ro na sakogi
mai kya karoon bibi
kehti thi ye zainab se...
mar jayega pyasa lab e darya mera saqqa
qasim na rahega
tum bhai hassan ko bhi bahot yaad karogi
mai kya karoon bibi
kehti thi ye zainab se...
sar peet'ti reh jaogi tum qaime ke dar par
aur shimr ka khanjar
chal jayega mit jayegi hyder ki nishani
mai kya karoon bibi
kehti thi ye zainab se...