Kanz e Aza

Kerbala Say Yehi Awaaz-e-Hussain Aati Hai

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Ujar Kay Meri Behen Wo Shaam Jaati Hai


Hai Chaar Saal Ki Beti Meri Sakina Jo

Bandhi Hai Ounth Pay Vo Mujhai Bulati Hai


Jo Sogwaar Hai Dulhan Wo Fatima Kubra

Sajjad Rotay Jo Daikhay Bina Chupati Hai


Jigar Zibah Hua Jis Ka Wohi To Hai Laila

Akailee Rait Pay Baithee Qabar Banati Hai


Na Roee Aaj Talak Jo Shaheed Beton Ko

Giray Sajjad Mera Ussay Uthati Hai


Sajjad Khair Say Jaey Ye Qafila Tera

Bina Rida Meri Zainab Fikar Satati Hai


Abhi To Shaam Mei Abid Nay Khoon Rona Hai

Safar Mei Qatilon Say Ussay Bachati Hai


Shimar Nay Haath Hain Jakray Wo Mergaee Adil

Sar-e-Abbas Ko Zainab Rasan Dikhati Hai