Kehti thi sheh ki bahan, alwida ay be-watan
Kehti thi sheh ki bahan, alwida ay be-watan
Ay mere tishna dahan, alwida ay be-watan
Khanjaro zulm chala, shimr ne kaataa galaa
Haae mohtaaje kafan, alwida……
So chuke ab to utho, maa ko awaaz to do
Asgare sheeree sukhan, alwida……
Jaanisaaraan-e-imam, tum pe Zainab ka salaam
Naasir-e-shaah-e-zaman, alwida……
Tera laashaa na utha, hai nigehbaan khuda
Lutke jaati hai bahan, alwida……
Ay anise shahedee, bas qalam rok yahi
Fufi shaahe anjuman, alwida……