girta hai pidar ran mein sambhalo ali akbar
aao ali akbar aao ali akbar
zakhmo se mere khaak chudao mere dilbar
aao ali akbar aao ali akbar
furqat mein teri shaam o seher karti hai girya
ye haal hai uska
batlao ke ab kaise jiyegi teri maadar
aao ali akbar...
athara baras jis ne tujhe laad se paala
bachon se zyada
sar peet thi hai gham mein tere zainab e muztar
aao ali akbar...
har aan teri yaad mein sughra ka hai nauha
kab aayenge bhaiya
takti hai madine mein tera raasta khwahar
aao ali akbar...
jeeta tha tujhe dekh ke har pal mere jaani
ay yusuf e saani
ab shakl dam e nahza dikhado mere dilbar
aao ali akbar...
ghere hai sitamgaar pidar kisko pukare
tum chod sidhaare
ab paas nahi koi bhatija na baradar
aao ali akbar...
peeri mein jawan laal ki mayyat ko uthana
bachon ko bulana
furqat teri guzri hai bahot shaaq pidar par
aao ali akbar...
nauha gham e shabbir mein hyder ne likha hai
lab par ye dua hai
maqbool ye ho jaaye bara e ali akbar
aao ali akbar...