Akbar ki jang door se dekha kiye Hussain
Jab aakhri Salaam suna chal pade Hussain
Har ek qadam pa thokarein khaate rahe Hussain
Bhai ko yaad kar ke ye kehne lage Hussain
Abbas Hamko Laashe Jawa'n mil nahi rahi
Akbar lade hazaaron se be khaofo be khatar
Girte huwe kaha ke Khuda hafiz aye Pidar
Gham se kaleja shaq hua dhu'ndla gayi nazar
Duniya hui siyaah kaho jaa'en Ham kidhar
Abbas Hamko Laashe Jawa'n mil nahi rahi
Bichhde Habeeb jeene ki lazzat chali gayi
Qasim gaye to zapt ki taaqat chali gayi
Roothe jotum to qalb ki quwwat chali gayi
Akbar ke saath Meri basarat chali gayi
Abbas Hamko Laashe Jawa'n mil nahi rahi
Dar hai na Gham se Abid e Beemar chal base
Zainab na berida kahin ran me nikal pade
Maa ke tasawuraat me Sehre ke phool the
Wo kam se kam Pisar ka Janaza to Dekh le
Abbas Hamko Laashe Jawa'n mil nahi rahi
Gum hai chiraagh haay Mere gharka der se
Hai shauge deedShaklePayambar ka der se
Dil khoon hai Tumhare Baradar ka der se
Laila ko intezaar hai Akbar ka der se
Abbas Hamko Laashe Jawa'n mil nahi rahi
Barchi Hamare Bete ke Dil me hai kya kare'n
Kis tarha Uske darde jigar ki dawa kare'n
Ham be Mu'eeno Yaawaro Naaser hain kya kare'n
Pohnchenge Laash tak jo madad Murtuza karein
Abbas Hamko Laashe Jawa'n mil nahi rahi