Kanz e Aza

Abbas Madad Ko

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Syed Asgher Ali (2026). Lyrics in Roman Urdu.

maqtal mein kaha sheh ne ro kar

abbas madad ko aajao


kis tarha uthe laashe akbar

abbas madad ko aajao


saahil se chale aao bhaiya

uthwao bhatije ka laasha

hai seena e akbar mein naiza

har samt andhera hai chaaya

be-noor hai aankhein tooti kamar

abbas madad ko aajao...


seene se ani jo hai khaynchi

mai kaise bataun kya guzri

hamshakle nabi reti pe gira

to rone lage khud pyare nabi

khud dekhlo maqtal mein aa kar

abbas madad ko aajao...


kayi baar gira is manzil mein

akbar tak pahuncha mushkil mein

jo seena e akbar mein hai laga

wo naiza hai mere dil mein

hai door hua mujhse dilbar

abbas madad ko aajao...


jab dekha akbar ka chehra

yaad aaye mujhe mere nana

kis tarha sambhalun mai dil ko

reti pe tadapta hai laasha

khoon mein hai shabihe paighambar

abbas madad ko aajao...


sughra se kiya tha jo waada

wo waada akbar toot gaya

ab sochta hoon kya bolunga

jab khat aayega sughra ka

tooti hai qayamat ab mujh par

abbas madad ko aajao...


nau laakh ke lashkar ne mere

bete ko ghayr ke maara hai

ummat ye bhool gayi lekin

ye mursal ka aaeena hai

chalta hai mere dil par khanjar

abbas madad ko aajao...


har simt bapa ek mehshar tha

jab khoon mein ghaltan akbar tha

ek nauha sheh ke lab par tha

yazdan wo kaisa manzar tha

sheh kehte thay ro ro kar asgher

abbas madad ko aajao...