ali ali maula maulana ali
ali ali maula maula maulana ali
quwwate parwardigar lafata illa ali
shaahhe mardan shere yazdan
quwwate parwardigar ya ali ya ali ya ali
ali maula ali maula ali maula ali maula
tu dil mein hai basa hua tu dhadkano mein goonjta
tu rooh ka hai rehnuma tu nafs hai aasra
hai lab pe meri ye sada hai tu khuda ka aeena
ali maula ali maula...
ye zindagi tere liye ye bandagi tere liye
ye dosti tere liye ye dushmani tere liye
rasool e haq ne sach kaha hai tu sach ka tarjuma
ali maula ali maula...
ibadaton ke dil mein tu sadaqaton ke dil mein tu
hidayaton ke dil mein tu hai aayaton ke dil mein tu
shariyaton ka sayeban khuda ke deen ka paasban
ali maula ali maula...
tu hi khuda ka noor hai ye kehta kohe toor hai
jise na ye sha'oor hai wo haq se koson door hai
hai tujhse haq ki ibteda hai tujhpe haq ki inteha
ali maula ali maula...
jahan mein guftagu teri samaan mein guftagu teri
makan mein guftagu teri azan mein giftagu teri
tu saajidon ka naaz hai na tere bin namaz hai
ali maula ali maula...
shifa hai teri khaak mein dawa hai teri khaak mein
baqa hai teri khaak mein wafa hai teri khaak mein
hai dar pe tere ay ali har ek nabi ki naukri
ali maula ali maula...
ye kaisa waqt aagaya ali pe haye kibriya
lahoo hai sar se beh raha hai khoon mein tar ali tera
hai ranj tujhpe teeragi bujhayi tu ne roshni
ali maula ali maula...
bayan kaise ho bhala wo zakhm bu-turab ka
na taabe zakhm laa saka zamane se guzar gaya
zaban pe uske nauha hai jo nasir aaj rota hai
ali maula ali maula...