Kanz e Aza

Ali Hai Sajde Mein

A noha for Imam Ali (a.s), written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

ali hai sajde mein tar khoon mein peshani hai

zameen se taa ba falak chaayi pareshani hai


ali ka qatl bhi saazish ka shaakhsana tha

chale hai silsile phir se wohi kahani hai

ali hai sajde mein...


bhala koi apne bhi mohsin ko qatl karta hai

ye musalmano ki dar asl mein nadani hai

ali hai sajde mein...


abu turab ko samjhe to mustafa samjhe

ali ki zaat ko ya zaate khuda jaani hai

ali hai sajde mein...


kiya jo maula ne qaatil ko apne jaam ataa

ali kareem hai kis baat pe hairani hai

ali hai sajde mein...


ali wali ke hashr tak rahenge charche ameer

baqa unhi ko hai bas ye jahan faani hai

ali hai sajde mein...