Kanz e Aza

Ali Jaisa Ho

A noha for Imam Ali (a.s), written by Aijaaz Ali. Lyrics in Roman Urdu.

ali jaisa ho ali jaisa


ay ummate nabawi aisi ho zindagi

zeenat ho ali ki kirdaar tumhara ho

ali jaisa ho ali jaisa


tum aale nabi ki aan bano

wallah mard e maidan bano

ay momino kaam wo kar jaana

sajde mein sar ko katwana

ali jaisa ho ali jaisa

ay ummate nabawi...


ye ajr e risaalat yaad rahe

asghar ki shahadat yaad rahe

akbar ki azaan ye kehti hai

quran ka muhafiz kehlana

ali jaisa ho ali jaisa

ay ummate nabawi...


wo tauq e garan wo zanjeerein

wo pusht pe zulm ki tehreerein

bazaar e sitam mein tafseerein

khutbe mein wo lejha apnaana

ali jaisa ho ali jaisa

ay ummate nabawi...


shabbir ka seena yaad rahe

mazloom sakina yaad rahe

itrat ka nagina yaad rahe

mushkil mein na tera ghabrana

ali jaisa ho ali jaisa

ay ummate nabawi...


jis pe zinda islam rahe

bas pesh e nazar wo kaam rahe

aijaaz mawaddat ki khaatir

kar daalo dil ka nazrana

ali jaisa ho ali jaisa

ay ummate nabawi...