ali ka martaba allahu akbar
abu talib ka beta naam hyder
laqab karrar aur siddiqe akbar
asadullah karrar o safdar
qayamat tak na hoga jinka humsar
khuda ne taygh di ahmed ne dukhtar
ali ka martaba...
wiladat khana e kaaba may paayi
ajal bhi aayi to masjid may aayi
farishto ki tarhe haajat rawayi
khuda ne di jise mushkil kushai
kare murde ko zinda jis ki thokar
ali ka martaba...
mili jisko wilayat aur imamat
wo jis ki zauja ho khatoone jannat
mili shabbir o shabbar jaisi naymat
hai ek chutki may dunya bhar ki daulat
raha jo zeenat e mehrab o mimbar
ali ka martaba...
fazeelat aap ki kis'se bayan ho
jo masroofe raqam saara jahan ho
waraq chahe zameen-o-aasman ho
raqam phir bhi na inki daastan ho
agar ho raushnaai ye samandar
ali ka martaba...
ali gyara imamo ke pidar hai
nabi hai shehr to ye inka dar hai
payambar ke liye seena sipar hai
shabe meraaj haq ke humsafar hai
ali aur ahmed e mursal ka bistar
ali ka martaba...
nahi binte asad si koi aurat
mili jisko khuda se ye fazeelat
pali aagosh may jis ki imamat
khuda ka ghar bana jaaye wiladat
hua jiske liye dewaar may dar
ali ka martaba...
na ghusse se shikan aayi jabeen tak
na ulti jang may bhi aasteen tak
laraz jaate thay jibraeel ameen tak
ali ka naam hai fathe mubeen tak
likhi daste ali pathar pe khyber
ali ka martaba...
madad ko aagaye jisne pukara
diya dushman ko bhi apne sahara
diya toofan may kashti ko kanara
chamak utha muqaddar ka sitara
ali mushkil kusha saaqiye kausar
ali ka martaba...
karo har saal matam murtuza ka
manao gham ali mushkil kusha ka
ye hai taboot sher e kibriya ka
ke ghar ujda mohamed mustufa ka
ke hai naala kuna shabbir o shabbar
ali ka martaba...
khuda ka ye karam kya mujhpe kam hai
ali ka zikr aur mera qalam hai
ye sab taqdeer ki nazre karam hai
ali ka naam kitna mohtaram hai
kahe kunwa uthake sehto mehshar
ali ka martaba...