ali ko zaqme sar tadpa raha hai
musalla khoon mein dooba ja raha hai
namazi saath hai chadar sambhale
nabi ka janasheen yun jaa raha hai
ali ko zaqme sar...
hui thi kaabe mein jiski wiladat
wo masjid mein shahadat pa raha hai
ali ko zaqme sar...
batati hai ruqe hyder pe zardi
lahoo mein zehr milta ja raha hai
ali ko zaqme sar...
saware doshe ahmed ko to dekho
lahoo mein doob kar ghar ja raha hai
ali ko zaqme sar...
hassan ko de ke meeras e payambar
nabi ka jaanasheen farma raha hai
ali ko zaqme sar...
khabar rakhna hassan sab bhaiyo ki
tumhe jo kuch hai saumpe ja raha hai
ali ko zaqme sar...
mera abbas to hai sab se kamsin
jo ro kar aur dil tadpa raha hai
ali ko zaqme sar...
hussain usko galay se tum lagana
tumhare simt de ke aa raha hai
ali ko zaqme sar...
khayale karbala aa aa ke shayad
ali ke qalb ko tadpa raha hai
ali ko zaqme sar...
do aalam ka yehi mushkil kusha hai
jo beton ke sahare ja raha hai
ali ko zaqme sar...
bine muljim teri talwaar ka waar
kalaam allah se takra raha hai
ali ko zaqme sar...
ali ko fazl manzar karbala ka
tasavvur mein sab aa raha hai
ali ko zaqme sar...