rone waalon rone waalon
dekh kar beti ke aansu khud bhi ro jaata hai baap
kitna bebas betiyon ke gham mein ho jaata hai baap
sar shikasta hogaya lekin ali khamosh thay
betiyon ka jab khayal aaya ali rone lage
dard ki shiddat mein bhi na aankh se aansu bahe
betiyon ka jab khayal aaya ali rone lage
jab hassan ne baap ka sar apne zaano par rakha
zakhm gehra dekh ke shabbir ne girya kiya
apne beton ko musalsal hausla dete rahe
betiyon ka jab...
betiyon ke haal ka tha baap ki aankhon mein gham
haye zainab haye chadar keh rahe thay har qadam
masjid e kufa se ghar tak raaston ko dekh ke
betiyon ka jab...
dekh ke is haal mein mar jaaye na zainab meri
saamne uske mai ghar se chal ke aaya tha abhi
apne beton ke sahare haye ghar jaate huwe
betiyon ka jab...
karbala yaad aayi to chooma gala shabbir ka
aur phir abbas ke shaano ka bhi bosa liya
haan magar sajjad ke nanhe se paon choom ke
betiyon ka jab...
kitne manzar aa rahe thay murtaza ke roo baroo
zakhmi sar se beh ke aa pahuncha jo chehre tak lahoo
shaam mein sar pe baraste patharon ka soch ke
betiyon ka jab...
jab gayi darbar zahra thay sahabi saamne
shaam ke darbar mein honge sharabi saamne
aakhri sanson mein naame fatema lete huwe
betiyon ka jab...
kyun ali ki aankh se hote rahe aansu rawan
bas wo samjhega khuda ne di hai jis ko betiyan
dil tadap kar reh gaya jab ye suna zeeshan se
betiyon ka jab...