Kanz e Aza

Allah Mohamed Ali

A noha written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

kardo karam rakhlo bharam

mai ban ke sawali aap ke dar par aaya hoon

bin aap ke mera nahi koi sahara ho karam khudara

daaman phailaye baitha hoon kab se

nahi lautunga jab tak meri mushkil na ho aasan


allah mohamed ali fatema hassan hussain


aap ke asghar ke jhoole se lipta hoon

be-auladon ke haq mein ye kehta hoon

jo bhi jhoole se kurta le kar jaaye

us bibi ki khaali jholi hai wo bhar jaaye

poori ye dua ho aulaad ataa ho

be-auladon ko aap ke sadqe mil jaye santaan

allah mohamed ali fatema...


jald shifa mil jaaye sab bemaaron ko

maaon se milwadein unke pyaron ko

jo maqrooz hai karz ada ho ab unka

rahe salamat maaon behno ka parda

ghame sheh ke siwae gham koi na aaye

karta hoon dua mehfooz rahe har maulai ki jaan

allah mohamed ali fatema...


yaad aati hai jab karbala dil rota hai mera

mujhe dekhna hai har baras abbas ka rauza

jaanta hoon muflis hoon ghar mein ghurbat hai

karbobala jaane ki phir bhi hasrat hai

door mai ab maula se reh na paaunga

unki yaad mein ro ro kar mar jaaunga

meri aas ko bhejein abbas ko bhejein

saqqa-e-sakina ki ghurbat par hona hai qurban

allah mohamed ali fatema...


dekhta hoon apne bachon ka jab chehra

hota hai ehsaas ghar na hone ka

waasta deta hoon mai jalte qaimon ka

ho jaaye is saal mera bhi ghar apna

jahan alam sajaaun majlis karwaun

meri hasrat hai ke aap bane ek din mere mehman

allah mohamed ali fatema...


maula hussain ko akbar ka pursa de kar

hum ne shabe jumma ye dua maangi ro kar

chod gaye hai hum ko jitne bhi pyare

rehmatein naazil kijiye unki qabron pe

mushkil na ho raste barzakh ke safar se

mere marhumeen ki mehshar tak har manzil ho aasan

allah mohamed ali fatema...


maula ne to pyaar sikhaya hai hum ko

apna chaahne waala banaya hai hum ko

yaad ye rakhna waqt koi bhi aa jaaye

apna hussaini rishta toot nahi paaye

parcham lehrao dunya ko batao

ye wird hamesha saath karenge hind aur pakistan

allah mohamed ali fatema...


ghaibat mein hai maula kitne saalon se

waakif hai phir bhi wo hamare haalon se

zinda rahe ya hum mar jaaye ya zahra

dekhna hai har haal mein maula ka chehra

wo khud aa jaayein ya hamein bulayein

wo saamne baith ke bole sunao phir se raza zeeshan

allah mohamed ali fatema...