Allah ye kaisa manzar hai
Yeh Kaunsi Mastoora Hai, Kya Maang Rahi Hai. Islam Ki Khidmat Ka Silaa Maang Rahi Hai.
Har Saahib-e-Ghairat Se Ridaa Maang Rahi Hai, Pardes Mai Marne Ki Dua Maang Rahi Hai.
Afsurda Hai Aflaaq Siyaah-a-bosh Zamin Hai, Jibreel Zara Dekh Yeh Zainab Toh Nahi Hai.
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
Beparda Shaamiyon Mai x 2, Aulaade Payamber Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
1. Nidaa De Raha Hai Ye Hasskar Manaadi, Ay Logo Gharo Se Nikal Aao Jaldi, Sazaae Do Inko Yeh Baaghi Hai Baaghi, Bajhte Hai Shaadiyane x 2, Har Haath Mai Pathhar Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
2. Kahaan Khauf Khaata, Hai Zaalim Kisi Se, Bulaata Hai Ik Ik, Ko Woh Naam Leke, Har Ik Bibi Chhupti Hai Zainab Ke Pichhe, Khud Ko Chhupaaye Zainab x 2, Fizza Ki Pusht Par Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
3. Bataata Hai Shimr Aake Khud Shaamiyon Ko, Ke Kaata Hai Mai Ne Issi Se Saro Ko, Dikhaata Hai Lehraake Phir Bibiyon Ko, Haatho Mai Uss Shaqi Ke x 2, Ik Khun Bhara Khanjar Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
4. Huwa Hai Asar Itna Binaaiyon Par, Ajab Kashmakash Mai Hai Asgher Ki Maadar, Har Ik Neza Bardaar Ke Paas Jaakar, Roroke Puchhti Hai x 2, Kya Ye Mera Asgher Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
5. Aseero Pe Kaisi Musibat Bani Hai, Har Ik Bibi Bazaar Mai Dhundhti Hai, Sakina Kahin Bheer Mai Khogayi Hai, Mehshar Se Pehle Barpaa x 2, Bazaar Mai Mehshar Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
6. Qayamat Mai Kaisi Qayamat Hai Barpaa, Taqallum Hai Godi Mai Asgher Ka Laasha, Adalat Mai Khaaliq Ki Aati Hai Zehra, Nazre Jhuki Hai Sabki x 2, Nabiyon Ke Labon Par Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2