Suno Sakina se Gham ka payaam Aye Baba
Hamare jal gaye saare khayaam Aye Baba
Kaha'n kaha'n ho najaane Qayaam Aye Baba
Ho saari Zeest Tumhara hi Naam Aye Baba
Aseer Hoke Chali Hu'n Salam Lo Baba
Ye ibteda hai musibat ki inteha hi nahi'n
Guzar gayi hai Qayamat magar gila bhi nahi'n
Phuphi Ke Sar Pa Kafan ke liye rida bhi nahi'n
Aur aaj hosh me Bimaare Karbala bhi nahi'n
Aseer Hoke Chali Hu'n Salam Lo Baba
Hamara Karbobala me Qayaam ho na saka
Tumhaare Dafn ka bhi intezam ho na saka
Pade ho khaak pa kuch ehtemam ho na saka
Ye zaof hai ke Ada bhi Salam ho na saka
Aseer Hoke Chali Hu'n Salam Lo Baba
Hai Sar pa khaak bhi Gham bhi hai aur buka bhi hai
Hai kamsini bhi musibat bhi aur jafa bhi hai
Phuphi ke saath rasan me Mera Gala bhi hai
In aafato'n se guzarne ka hosla bhi hai
Aseer Hoke Chali Hu'n Salam Lo Baba
Suna hai Shaam ka darbar jab bhara hoga
yazid ka sare darbar samna hoga
Mera to Bhai bhi zanjeer me Bandha Hoga
Phuphi jo pohnchegi darbar me to kya hoga
Aseer Hoke Chali Hu'n Salam Lo Baba
Hain ab bhi peshe nazar waqiyaate Karbobala
Wohi hai shimr ka khanjar wohi hai Sheh ka Gala
Wohi hai Shaam ka bazaar aur wohi Kufa
Urooj ab bhi Sakina ki aarahi hai Sada
Aseer Hoke Chali Hu'n Salam Lo Baba