Kanz e Aza

Bosagahe Ahmed

A noha written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

bosagahe ahmed par shamsheer nazar aayi

yun khwab e khaleeli ki tabeer nazar aayi


kya hurr ki baseerat thi jisko shabe isiyan may

taqdeer banane ki tadbeer nazar aayi

bosagahe ahmed par…


ashk e ghame sarwar ke aaina e roshan may

jannat bhi hamay apni jageer nazar aayi

bosagahe ahmed par…


jis khaak pe soye hai zehra ke jigar paare

wo khaak do aalam ko akseer nazar aayi

bosagahe ahmed par…


bache ki taraf zaalim kyun teer chalaya hai

masoom ki kya tujhko taqseer nazar aayi

bosagahe ahmed par…


aghyaar bhi ro uthe moo phayr ke raahon may

jab paon may abid ke zanjeer nazar aayi

bosagahe ahmed par…


aansu ghame sarwar may nikle jo urooj apne

har ashk may kausar ke tasveer nazar aayi

bosagahe ahmed par…