Kanz e Aza

Hamay Ye Husne

A noha written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

hamay ye husne aqeedat bahot hai kya kam hai

agar hussain nahi hai hussain ka gham hai


utha hi tha sare baatil ke di sada haq ne

abhi jahan may salamat hussain ka dam hai

hamay ye husne aqeedat…


unhe uthao jo parde pade hai aankhon par

ye keh rahe ho charaghon may roshni kam hai

hamay ye husne aqeedat…


tamam umr tadapne ke baad samjha hoo

hayaat kya hai musalsal hussain ka gham ka

hamay ye husne aqeedat…


jinhe masayab e aale rasool yaad nahi

rasool ko bhi wo bhoolenge jab ye aalam hai

hamay ye husne aqeedat…


kisi ki laash ko shabbir laaye hai shayad

ke qaimagah may awaaze al atash kam hai

hamay ye husne aqeedat…


udao khaak ke shabbir hogaye hai shaheed

urooj jin o malak may shor e matam hai

hamay ye husne aqeedat…