Kanz e Aza

Hai Momino Pe Farz

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

hai momino pe farz ita'at hussain ki


karboabala mein zulm o jafa ka riwaj tha

sar pe yazeediyat ke khilafat ka taaj tha

shabbir ka lahoo jo maseeha mizaaj tha

warna munafiqat ka maraz la-ilaaj tha

yun karbala mein fikr o nazar ki dawa hui

karbobala ki khaak bhi khaake shifa hui

hai momino pe farz...


aaye hai deen e haq ke liye karbala hussain

sibte rasool o laqte dil e murtuza hussain

hadi imam haq ke wali rehnuma hussain

tum ko pukarte hai azadaar ya hussain

aankhon mein apni ashke aza leke aaye hai

dil mein shaoor e karbobala leke aaye hai

hai momino pe farz...


yun karbala mein sheh ne bhara ghar luta diya

khud sogaye to deen ka muqaddar jaga diya

chehre se ahle kufr ke parda hata diya

asghar ne has ke saare jahan ko rula diya

baysheer mein asar tha ali ke shaoor ka

asghar ke has ke tod diya buth ghuroor ka

hai momino pe farz...


bedi pehen ke abid e bemaar aayega

is raaste mein shaam ka bazaar aayega

ye zikr baad sayyede abraar aayega

jab tasht mein ye sar sar e darbar aayega

zindan mein shor hoga zameen thar tharayegi

baba ka naam leke sakina bulayegi

hai momino pe farz...


hogi abhi to shaam e ghariban ki daastan

cheenga shimr baali sakina ki baaliyan

bazaar e shaam pahunchega lut kar ye karwan

qaidi banegi ahmed e mursal ki betiyan

baaqi musibatein hai abhi qaid khane ki

in qaidiyon pe hongi nigahein zamane ki

hai momino pe farz...


zehra ka laal sibte rasool e anaam hai

khanjar talay bhi bakshishe ummat se kaam hai

shabbir ka payaam khuda ka payaam hai

matloob e do jahan shahe aali maqam hai

paata raha urooj yuhin gham hussain ka

lehra raha hai aaj bhi parcham hussain ka

hai momino pe farz...