Kanz e Aza

Bulao Apne Ammu

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

maar kar rukh par tamache bola shimr e behaya

ay sakina ab bulao apne ammu jaan ko


chaahte hai wo tumhe kitna mai dekhun to zara

ay sakina ab bulao apne ammu jaan ko


baal bacchi ke pakad kar khaynch kar dono gohar

bad nasab kehne laga rukh par tamache maar kar

kyun nahi kuch bolti sar kyun tumhara hai jhuka

ay sakina ab bulao...


dono haathon se tamache maarta tha be-rehm

kar raha tha be jhijhak bekas yateem par sitam

har tamache par ye kehta tha chacha ko do sada

ay sakina ab bulao...


naaz tha tumko bahot jis par usay awaaz do

jao darya ki taraf jaa kar usay awaaz do

apne dil ka dard batlao usay jaa kar zara

ay sakina ab bulao...


maarta hoon mai tumhe koi bachata kyun nahi

jaan jo tum par lutaata tha wo aata kyun nahi

ho gaya kya ab tumhara chaahne waala khafa

ay sakina ab bulao...


mai tumhe maarunga durre aur tamache tab talak

tum tadap kar padh nahi dogi ye nauha jab talak

mai bahot mushkil mein hoon imdaad ko aao chacha

ay sakina ab bulao...


tha qayamat khaiz dard angez wo manzar ajeeb

laaya bacchi ko layeen abbas ke sar ke khareeb

kaske phir rassi galay ki be-rehm kehne laga

ay sakina ab bulao...


us ghadi sar peet kar roye bahot ahle haram

jab kaha zaalim ne dikhla kar ke ghazi ka alam

ye alam to hai kahan hai ab alamdar e wafa

ay sakina ab bulao...


ro rahi thi dukhtare shabbir waiz zaar zaar

ay ali thay dard se ahle haram sab beqarar

karbala se shaam tak shimr e layeen kehta gaya

ay sakina ab bulao...